Tuesday, November 1, 2011

ek baar tu mujhse mil to zara...

ek baar tu mujse mil to zara.
batau ki kaisa mera pyaar hai..
is baar tu meri sun to zara
aye khuda tujhse yehi pukaar hai...

har baar tune na diya jo saath to kya hua
kar de kuch aab ye mera aakhri baar hai
dede dede dede mujhe jo mangu main
yehi meri jindagi yehi mera pyaar hai

tu sun to zara tu sun to zara
ek baar tu mujhse mil to zara...

Sunday, October 30, 2011

Aye watan

Aye watan aye watan mere watan mere chaman
aye watan kuch na kar paya main tere liye....
aye watan kuch na kar paya main tere liye....
apne hi swarth me doobkar ladta rha apno se
gairo ke liye......
aye watan kuch na kar paya main tere liye..

kabhi tanhai baith socha apno aur sirf apne liye
aye watan na kabhi soch paya tere liye
aye chaman kuch bhi na kar paya tere liye..
umar biti waqt gujra par kuch na aya hisse tere
jite rhe tera diya khate rhe
par badala jo jamana to bhulate rhe kisse tere...

jabse hua main paida tu har dilata gya mere liye
par fir bhi aye mere watan main kuch na kar paya tere liye.....

Saturday, October 29, 2011

mujhe aasma de do

gum ki duniya me......koi to wafaa kar do
ki saat chut gaya jo unko na falsafaa kar do
main yaha ruk gya hu .....ab mera sitara chamakne do
aye khuda khusiyo ka jaha ho saraaa.....mujhe wo aasma de do.

ki begairat ki jindagi ab mujse naa sahi jaye
yun chupaye har kami mujse banavati hasi na jaye
har koi khus kahta hai mujhe... par man hi janu rok paya kaise
ki mera har aansu kisi tyohar par kahi na chalak jaye....

aye khuda tumse yahi chahu abb ki jaha ho sukuun ke raste wo manjil ab de do
jaha ho na gum ka sailaab ho chand si thandi man ki awaaz mujhe wo aasma de do...